Thursday 17 July 2014

Noor Jahan

Noor Jahan Biography

Source link google.com

Heart beat of Pakistan, Urdu honor of singing, the famous singer and actoress of Indian Subcontinent Malka-e-Taranum Noor Jahan was born in 21 September 1926. She was the first younger singer of the age of 6 years old. Allah Wasai kept your name of your parents. However, when you footsteps in film industry and become a singer, your name changed into Noor Jahan.

Noor Jehan received the "Malka-e-Taranum" appellation by State of Pakistan in 1965. Noor Jehan artistic career is over six decades. During her artistic journey, Noor jehan did 26 films as an actor as well she sang near thousands of songs for films around. As a heroine the first film of Noor Jehan was “Khandan”. In 23 December 2000, Noor jehan was died. But she is still alive with us. In this page you will read Madam Noor Jahan biography in Urdu and Roman Urdu.

Madam Noor Jahan Biography In Urdu

Noor Jahan Photo
Pakistan ka dil ki dharken, Urdu gaiki ki abroo, Panjabika mann, barray sager ki mashhor Glukar aur Adakarah Madam Noor Jahan 21 September 1926 ko Kasoor mein paida huyein. Noor Jahan ka waldain na app ka naam Allah wasai rakha Malkae Tarennum ka khetab unhain 1965 mein Ser Brahey Mumliket Pakistan ki taaf sey mila app nay Ustad Baba Ghulam Muhammed Khan sey mosiqe ki tarbiat hasil ki aur stage par adakari aur Gulukari ka mozaherah kea bade azan apni bahnon kay sath Calcuttah chali gain aur filmon mein kam shyuru kea.

Madam Noor Jahan ka fani kirdar chay dahaion par moheet hay apnay fani safar kay dauran Noor Jahan nay 26 filmon mein markazi kirdar ada karnay kay ilawah 1000 kay qareeb filmon kay leyeh ganay gaey Noor Jahan ney 1935 mein aik child star key tour film Sheila urf Pind Di Kuri key sath apnay carrier ka agaz kea 1941 mein realease honay wali film Choudhri mein second heroen kay tour par kast kea gea Director Nerjen Pall ki iss film kay degar sitaron mein Roop Lekha, Pall, Ismael, Ghulam Mohammed aur Ajmal thay.


Batour heroen Noor Jahan ki phali film Khandan thi jis mein unhon nay adakar Paran kay moqabil markazi kidar ada kea 1942 mein realease honay wali iss film kay hidayat kar Shoukt Hussain Rizvi aur mosiqar Master Ghulam Haider thay Khandan kay bad Noor Jahan 26 filmon mein batour Heroen aien inn mein sey 13 taqsem sey pehlay banin jabkay 13 qeyame Pakistan kay bad.

Batour Adakarah Noor Jahan ki akhri film Mirza Galib thi jo 1961 mein release hue iss mein unhon nay Adakarah Sudher key key maddey moqabil markazi roll kea batour hidayat karah un ki pehli film Chenwe thi jo 1951 mein release hue film kay moseqar Firoz Nizami thay jabkay Noor Jahan ney film mein Jahangir key maddae moqabil markazi roll ada kea.

Madam Noor Jahan Filmi Geet

Madam Noor Jahan na apna pehla filmi geet Lang Aja Patan Chuna Da O Yar sirf 8 sal ki umer mein 1935 mein film Shela urf Pind di Kuri mein gaya kisi film kay leyeh Noor Jahan ka gaya hua akhri gana ki Dam DA Bharosa Yar Dam Away Nah Away tha film SAkhiu Badsha ka yeh gana unki wafat sey 2 sal pehlay samnay aeya.60 sal se zaied arsey par moheet apney filmi career mein Noor Jahan ne taqreban 1000 filmon ka leyeh geet gae. Un mein Madam Noor Jahan kay Urdu aur Punjabi dono zabanon mein gae huae ganey shamil hain. Madam Noor Jahan nay Mirza Galib, Dag Dehelwi, Nasir kazmi, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz, Ubaidullah Aleem, Qatil Sahfai, Saifuddin Saif, aur Iftekhar Arif samait kai Shaeron ki ghazlain gaien jin mein se ziadah ter mashhor huien. Iss ke elawah Noor Jahan ne Punjab ke Sufi Shora mein se Shah Hussain ki aik kafi Sahib teri Bandi Han bhi gai jo bohot pasand ki gae.


Noor Jahan Jungi Naghmay

1965 ki jung key dauran Noor Jahan nay kai jungi nagmay bhi gaey jin mein sey "Aye Puttar Hattan Tey Nai-o-Kudiye, Aay Watan Kay Sajeelay Jawano, Mera Mahi Chail Chabila aur Jaag Ae Mujahid-e-Watan ziadah mashhur huae.

Anmol Ghari

Bharti filmi sanat kay Azim moseqar Naushad ney Malkae Tarannum Noor Jahan ki aik hi film” Anmol Ghari” ki moseqi tarteb di lakin yeh film Naushad ki moseqi Malkae Tarannum Noor Jahan ki adakari aur unki gulukari ki wajah sey ajj bhi Hali Wood ki yadgar filmon mein shumar hoti hay.

Naushad Sahib kay motabiq film” Anmpl Ghari” ka geet” Awaz dae kahan hay” Noor Jahan ki khubsurat awaz ki wajah sey hamesha yadgar rahay ga woh kahtay hain: “Noor Jahan ko bhi apna wahi geet bahot pasand tha aur woh apnay her program ka agaz wahi geet sey kea kerti thin woh khud jetni khubsurat thin un ki awaz iss sey ziadah surely thi mulk ki taqsem key bad woh Pakistan chali gaien lakin hamesha wahan sey foon kerti aur pher ropar tein thien”

Taqsim sey pehlay kay daur mein khandan, Anmol Ghari aur Jugnu Noor Jahan ki Markatul Alaara filmein kahlain iss baray mein Naushad Sshib bata tay hain.

“Yeh film industry ka golden jubliee saal tha aur iss silsilay mein Shan Mukha Nand hall mein aik taqreb ka ineqad hua tha jis mein tamam puranay fankaron ko madu kia gea tha Dlip Kumar, Paran, DewAnand, Rajkapur, Shamshad Begum, Salim Durani aur pher Pakistan sey Noor Jahan ko madu kea gea ham unhain AirPort lanay gaey thay program mein her fankar sey kaha gea tha kay woh apna apna geet pashe kerya ga sab fankar arahay thay aur talyon kay sath unka khair moqdam horaha tha Noor Jahan ka number aya aur unhon nay jaisay hi “ Awaz Dea Kahan Haea” gungunaya pura hall talyon sey gunj utha aur un key ahteram mein log kharay hogae itna piayar aur itni izzat afzai dekh ker Noor Jahan ki ankhain bhar aien”

Malka e Taranum Noor Jehan

Malka e Tarannum Noor Jahan Pakistan key fankaron mein sey hain jin kay baray mein unki zindagi mein bahut kem likha gea aur iss azim fankarah par kisi nay qalam uthaya bhi to iss ka mozu unki shakshiat bani na kay un ka fun.

Madam Noor Jahan par likhi janay wali Pahli kitab “Noor Jahan Serwar Jan” thi jis ka mozu taqsem se pehlay Mumbai ki film nagri mein un kay Shaboroz thay. Bad mein Shaukat Hussain Rizvi ke taweel interview par mabni Munir Ahmed ki Kitab "Noor Jahan ki kahani meri zabani" aie jis ka bazahir maqsad Noor Jahan par ketcher uchalnay ke sewa kuch nahin tha.

Iss se barh ker yeh kay agar amm guftagu mein bhi Noor Jahan par bat ki jati hai to unki fankarana azmat ko sabit kernay ke leyeh dalil adhi sadi taqsim se qabal bannay wali pehli inn ki filmon se laie jati. Batana yeh maqsood hota hai kay Noor Jahan bari funkara iss leyeh thi kay unsay hiadaiat kar Mehboob ki film “Anmol Ghari” mein moseqar Naushad kay composing keyeh huae geet gaea ya Shaukat Hussain Rizvi ki film “jugnu” mein Slip Kumar kay moqabil heroin aien susray lafzon mein moseqar Naushad ya Dlip kumar ki mosallama azmet ko dalil bana ker Noor Jahan ki azmet ka sikkah bathanay ki koshish ki jati hay iss daur ki bhi bat ker tay huae koi Master Ghulam Haider ya Feroze Nizami ka nam nahin leta keonkay ghar ki murgi dal barabar hi hoti hay.

Aur agar bat taqseem sey bad ki bhi ho to guftagu Noor Jahan ki ibtedai filmon sey agay nahin sath ya satter ki dahai mein akhtetam pazer ho jati hay baqi jo kuch hay woh to seb amyana hay. Noor Jahan Ki Fani Shaksiat 
Lakin bat aisi nahin hay Noor Jahan ki fani shaksiat koi aisi nahin hay jis kay sath aik zaban mein keay gaey unkay kam ki bunyad bana ker insaf kea ja sakey unki fani shakhsiat hama jahat khubyon sey mala mal hay aur iss ka jis pehlu sey bhi jaizah leya jae Noor Jahan ki fankarana azmet aur un key ham asron mein unka qad aur barh jata hay.

Noor Jahan ka kamal yeh hay key unhon ney khud ko Pakistani film industry key badaltey huae mejaz key motabiq dhala aur shaed issi lea woh apney akhri ayam tek film industry mein aut ded ya gair motaliq nazer aien balkey is ski her pehlu sey aik zarurat bani rahein.

App zara Noor Jahan ke gae huae ganon ki fahrist par nazer dalain Dae Sone Di Kangna ( chun war yam) Wea aik Tera Piar( Sala Sahib) Soney di Teri ( Sholay) Duron Duron Ankhian Marea Manda Panwari Da (Dubai Chalo) Menu Rakh Lay Calender Nal ( aik putteraik weer) sone di nathli ( Mr Aflatoon) aurtun jo meray hamesha cool rahween(shear khan).

Madam Noor Jahan key kuch chanay walon ko upar darj kea gae Panjabi geet amyana lagein lakin yeh bhi aik haqeeqat hay kay dewanon ki aik bari tadad Noor Jahan ko inhein ganon ki waja sey chati hay. Ab zara iss fahrist ko molaheza firmaein Hussaini Lal Qalander(Asu Bila) bari bari imam bari ( sajan bea parwah) Ho Lal Meri Pet Rakhyo ( Dilan Dea Saudey) Shabaz keray peerwaz( Mann Tea Mama) Sehwen Di Serkar ( Khan Zadah) Aie Ann Duarey ( Dunya Pyar Di) aur Laj Meray Lajpal ( Tahadi Di Izzat DA Sawal Ae). Yeh qalandri dhamalain bhi Punjab , Sindh aur suba serhed mein abadi ka aik bara tabqa baray souq o shaouq sey suntan hay woh sirf usi Noor FJahan ko janta hay jo iss dhamakomn key zareay un tek pahunchti hay.

Madam Noor Jahan key fun mosque ka aik aur pahlu un key gae huae geet aur gazlain hain un mein Miza Galib ki gazel "Main hoon Mushtaw Jafa mujh sey Jafa aur sahi" Ho ya Dag Dehelvi ki “ Lutf woh Ishq mein paea hain kay ji chata hay” yap her Ahmed Rahiki” Dil key Afsanay nigahon tek pahonchay” aur Noor Jahan ney jis gazal ko bhi chera uski gaiki mein apna hi rang chora.

Madam Noor Jahan ko iss bat ka bhi cradet jata hay kay unhon ney Punjab key datanwi lok adab mein aik nae zindagi di hay aur nae nasal ko iss sermae sey roshnash kea hay. Pakistan mein hosakta hay bahot son ney waris shah ki “Heer” ya Hafiz ber khurdar ki "Mirza Saheban" na parhi ho lakin woh Noor FJahan key gae huae lazwal geeton” Sanjay Walay Buhae Aje main Nahyon Dhoea” Sen o nejli di muthri nan wea” aur O wanjli waler ya tun nan moh lae o matyar” key zarea Punjab key saqafti rangon sey ashna huea hon gein.

Madam Noor Jahan ki awaz qudrat ney kuch iss tara banae thi kay unhon ney jo gana gaya woh hit hua unki awaz mein jo khubi thi jo kisi dusri awaz mein nahin un key galay mein qudrat ney suron ka aik guldasta fit ker rakaha tha yahi wajah thi key unhon ney kabhi kamzore sur na lagaya woh galay key zore sey gati thin chunkey unhon ney ustadon seu bahut kuch sekha tha iss leyea agar koi rag chera jata tha to unhain is ski arohi amrohi ka elim hota tha unki awaz mein itni lachak thi key ship ka sesr bhi bari asani sey lagati thin nan, sergrem aura lap bakhubi lagati thin.

Madam Noor Jahan Death

1998 mein Madam Noor Jahan ne film Sakhi Badshah mein apna akhri geet gaya "Ki Dam Da Bharosa Yar" aur do saal bad Madam Noor Jahan 23 December 2000 ko taweel alalat key bad Karachi mein 73 saal ki umer mein woh awaz hamesha ke lia khamosh ho gae jo bare bare mosiqaron ki dhunon ko zindah o javed ker dea ker ti thi.

Noor Jahan

Noor Jahan

Noor Jahan

Noor Jahan

Noor Jahan

Noor Jahan

Noor Jahan

Noor Jahan

Noor Jahan

Noor Jahan

Noor Jahan

Umar Sharif

Umar Sharif Biography

Source link google.com
Umer Sharif is a Pakistani stand-up comedian, stage, film and television actor, writer, director and producer. His original name is Muhammad Umer, however he changed that to Umer Zarif when he joined the theater and later changed that to Umer Sharif.
He rose to fame due to his work on stage and his stage shows are considered among the most popular in Pakistan. He started his showbiz career from Karachi as stage performer at the age of 14. He started at parties with his friends as background musicians. Some of them now live in the United States.

Career

Born in an Urdu speaking family from Aligarh, British India, Sharif became one of the most well known stage performers in Pakistan after his extremely popular 1989 comedy stage plays Bakra Qistoon Pay and Buddha Ghar Pe Hai. In both he starred with another comedy legend Moin Akhter. Much of the success comes from the fact that he started to record his shows and the videos were rented out. Yes Sir Eid, No Sir Eid, followed by Bakra Qistoon Pay were the first stage shows to come out on video.
He is known in South Asia as the King of Comedy. He was rated as best comedian ever by Indian audiences. Indian comedy kings Johnny Lever and Raju Srivastava have called him the God Of Asian Comedy on the Indian comedy show "Comedy Circus". In India his videos are released by Music Track and are sold at premium prices across all stores.
Bakra Qistoon Pay is considered by critics in India & Pakistan to be the show that made stage plays what they are today in Pakistan. Before the advent of Bakra Qistoon Pay majority stage shows in Pakistan used to be classy with rather poetic dialogs. After Bakra Qistoon Pay (Goat on installments) stage shows became a vibrant, majorly comical (and often gritty) part of the Pakistani culture. It has also sparked many sequels. He has also produced films like Mr. 420, Mr. Charlie, Miss Fitna, etc.
The popularity of Bakra Qistoon Pay also crossed the border into India as well and Umer Sharif became a famous name in India as well.
He also was a judge in the famous Indian comedy show The Great Indian Laughter Challenge along with Siddu and Shekar Suman.
Umer Sharif does his own show, on Geo TV called, "The Sharif Show," where he interviews a variety of actors, actresses, entertainers of all kinds as well musicians. Also from time to time, Sharif is seen as Masters of Ceremonies for various important events.
Umer Sharif's satire has a grim darkside too which becomes increasingly visible especially when his fame outgrows local frame : this is his strange anti-India stand. In many of his play he has expressed familiarity with a rabid fear of Indian culture’s conquest of the Pakistani mind. He has openly criticized Indian films and its Hindu characters and creators. In fourth sequel of Bakra Quiston Pay, shot on an American 'stage' (with a little symbolical audience to make it a stage-show) he crosses all boundaries of stage decency with his deliberately rude and wicked dialogue towards the character of a Hindu nurse hired to look after him.

Awards

He has received the following awards:
Best comedian and Best Actor National Awards in 1992 for Mr. 420
Ten (10) Nigar Awards - He is the only one to receive 4 Nigar Awards in a single year
Three (3) Graduate Awards
Best Drama Writer
Best Actor
Best Director
Four (4) qaumi awards
Best Stage Actor (1984)
Best Stage Director (1988)
Cassette Melody Awards
Best Award for Hat trick in Audio Cassettes
One (1) International Emirates Award in Dubai
National Defence College Pakistan Shield
Two (2) Bolan Awards
Musavir Awar
Chicago Award (1992)
Award in Los Angeles (1996)
Waheed Murad Award
Trend Changer Award from Karachi in 1993
Lahore Press Club Award for Excellent Performance, 1996
Jang Akhbar Award
Khabrain Award
Sadaaqat News Paper Award
Award from Allama Iqbal Medical College
King of comedy
Key to the City of Karachi: For the first time in the history of Pakistan's film industry the key of any city was presented to an actor.

List Of Popular Stage Shows

Bakra Qiston Pay
Budha Ghar Per Hain
BEHRUPIYA UMER SHARIF
LOTEY AUR LIFAFEY
DOLHA 2002
DOLHA 2002 BAKRA MUNNA BHAI MBBS
CHKKAR PE CHAKKAR
ONE DAY EID MATCH
PAYING GUEST
Angoor Khate Hain
Aoo Sach Bolein
Beauty Parlour
Begum Meri BBC
Chand Baraye Farokht
Coolie 420
Doctor Aur Qasai
Dulhan Main Layke Jaonga
Eid Ashiqon Kee
Eid Tere Naam
Half Plate
Hanste Raho Chalte Raho
Hum Sab Eik Hain
Hum Se Milo
Jeet Teri Peda Meri
Laal Qiley Ki Rani Lalokhet ka Raja
Lahore Se Landon
Loot Sale
Mano Meri Baat
Meri Bhi tu Eid Karade
Mr. Charlie in Karachi
Mujhe Tallaq Do
Umer Sharif Haazir Ho
Valima Taiyar Hai
Female Ki Email
Andaz Apna Apna
Mamu Mazaq Mat Karo
Training Centre
Tera Bakra Mera Qasai
Baby samjha karo

Umar Sharif

Umar Sharif

Umar Sharif

Umar Sharif

Umar Sharif

Umar Sharif

Umar Sharif

Umar Sharif

Umar Sharif

Umar Sharif

Umar Sharif


Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed Biography

Source link google.com
Sawar Muhammad Hussain Shaheed was born on 18 June 1949. He joined army in 3 September 1966, the after he specialized in driving. In 1971, he served with Lancers in Pakistan and India War. Sawar Muhammad Shaheed father’s was a farmer. Sawar Muhammad Shaheed was got married in 1967. He was the father of one daughter and a son. Sawar Muhammad Shaheed was the royal and honest national hero. In this page, you will read Sawar Muhammad Hussain Shaheed Biography and History In Urdu. 

Sawar Muhammad Hussain Shaheed Biography, History In Urd

Sawar Muhammad Hussain Shaheed Photo
Sawar Muhammad Hussain Shaheed 18 June 1949 ko Dhoke Pir Bakhs ke moqam par paida huye 3 September 1966 ko fouj mein bharti huye foj mein bharti hone ke baad app ne driving mein maharat hasil ki. 1971 ki Pak Bharat Jang mein Sarwar Muhammad Shaheed 20 Lancers ke sath khidmat sar anjam de rahey they 5 December 1971 ko Sawar Muhammad Hussain Shaheed Zafar dal, shaker Ghar ke mahaz par jaker foj ke naujawano ko aslaha aur barood pahoncahtey rahey 6 December 1971 ko woh aik laraka ghasti daston ki khatan aur pur khatar mahmat mein unke hamra jatey rahey 10 December 1971 ko Sarwar Muhammad Shaheed ne Dushman ko Harar Khrd Gaon mein morchey khod tey dekh ker Unit Commander ko itla di Sawar Muhammed Hussain Shaheed ki zati koshishon se dushman ke 16 tank tabah huye 10 December ko hi char bajey Sawar Muhammed Hussain apnay aik Re cayel lese Rifle brother dushman ko thekaney lagatey huye golyon ki boochar se shaheed huye. Major Amanullah Muhammed Hussain ki safarish par app ko Nishan e Haider dey nawaza geya.


Sawar Muhammad Hussain ke walid ka naam Roz Ali tha aur woh aik caht kar they 1967 mein app ki shadi Arzan Bi Bi se hue thi jin ke batan se app ke han aik beta aur aik beti huye. Yeh baat qabil e ziker hai ke 1965 ki Pak Bharata jang mein Sawar Muhammad Hussain abhi Devi Hai School mein zere taleem they lakin un ke dil mein watan se bharpoor mohabbat ka jazba maujood tha app ne primery tak taleem Mozu Jhang Phero mein pae. App ke ghar mein shalwar qameez aur tahband pehentey they khaney mein sarson ka sag makkhan aur lassi bahot pasand ker tey the khilon mein cabaddi wali ball app ke pasandeda khail they.

Muhammad Hussain Ki Shahadat

Rawait ke motabiq jang par janey se pehley app ke walid ne app ko safaid kapron ka aik jora diya Sawar Muhammed Hussain aksar waqa e karbala dohraya kerte they aur Hazrat Imam Hussain ki jurrat o shujat mandi par jhoom jhoom jaya kertey they. App Shaheed huye to app ki jaib se 100 ruppey aik maney order aur do khoon alood khatoot baramad huye Sawar Muhamed Hussain ke walid ne jab unki Shahadat ki khabar suni to pehla sawal yahi kiya ke “mere betey ne maidan jang mein buzdili to nahein dekhai?


Sawar Muhammed Hussain Shaheed Ka Waqiya "Amanat Mein Khayanat"

Sawar Muhammed Hussain Shaheed ka aik emaan bahot mashhoor hai aik dafa aik dost ne ke Sawar Muhammed Hussain Shaheed walid ke pas 200 rupay batour amanat rakhwa Afroz waqaey issi dauran app ke walid ko bhi rupon ki ashad zaroorat par gaye unhon ne Sawar Muhammed Hussain se ziker kiya to app ne kaha "Agarchay merey pas zati taur par apnay 50 rupay maujood haien lakin woh kisi ki amanat haien albatta mere pas zati taur par apnay 50 rupay maujood haien app un se kam chala leien mein un 200 rupon mein se aik rupya bhi na doon ga keon ke iss tara amanat mein khayanat hogi aur jab khuda ke hazoor mujhey jawab da hona parey ga to mein wahan kya jawab doon ga?

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Sawar Muhammad Hussain Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed Biography

Source link google.com
Rashid Minhas was born on 17 February 1951 in Karachi at Air Force Hospital 9:40 PM. He was a Pilot Officer in Pakistan Air Force. Rashid Minhas passed the examination of Senior Cambridge from Saint Patrick College in Karachi. In 31 August 1968, he admitted in the School of Air Force in Risalpur. He received the degree of BsC in February 1971 from Peshawar University. Rashid Minhas died on 20 August 1971 in Sindh. In this page, you will read the Biography of Shaheed Rashid Minhas.


Rashid Minhas Shaheed Photo
Rashid Minhas Shaheed In Urdu

Pakistan ke azeem sapoot Rashid Minhas 17 February 1951 ko Karachi ke Air Force hospital mein raat 9:40 pm per peyda hue. Aap ke walid ka naam Majeed Minhas tha jo thekeydar the. Rashid Minhas ka khandan riyasat Jammu Kashmir se hijrat kar ke Hindustan mein Girdaspur ke maqam par muqeem hua. Aik arsey tak Rashid Minhas ke buzurg Girdaspur mein rahe aur phir inho ne qilaa Sobha Singh ( Sialkot ) ke nawah mein rehaiysh ikhteyar ki. Rashid Minhas ka bachpan ziyada tar Lahore mein guzra. Un he dinon in ke walid apni mulazmat ke silsile mein Rawalpindi shift ho gae aur Rashid Minhas ko bhi un ke hamrah jana parha. Rawalpindi mein Rashid Minhas ne Saint Marry Academy mein dakhla liya. Senior Cambridge ka Imtehan inho ne Saint Patrick College Karachi se paas kiya. 31 August 1968 mein inhe Air Force ke school waqeya Risalpur main dakhla mila. Yahan se April 1971 mein farigh tehseel hone ke bad aap ko mazeed tarbiyat ke liye Risalpur se masroor Karachi bhej diya gaya. Jahan inho ne 15 August 1971 ko apni tarbiyat mukammal ki.

Rashid Minhas ki salahiyaton ko jila bakhshne mein in ke taya Abdur Rasheed ka bohat barha hath hai. Jinho ne 1965 se 1958 tak unhe ghar par Urdu aur Islamiyat ki taleem di. BsC ki degree Rashid Minhas ne Peshawar University se February 1971 mein hasil ki. 20 August 1971 baroze Friday ko T – 33 Trainer Jet Tayyarey mein bethe hue control tower se unhe pehli clearance mili. Yeh un ki 3rd tanha parwaz thi. 11:27 par achanak un ka instructor garhi mein sawar ho kar run way par aa gaya aur Rashid Minhas ke hamrah tayyarey mein beth gaya. Mutee-Ur-Rehman name is bangali officer ne tayyarey ka control sambhal liya aur Karachi mein apne 2 sathiyon ko peygham dete hue kaha.


“ Main jodhpur jar aha hon, tumhe mere aehl-o-ayaal ko sath le kar forum Hindustan highway Commision chale aao aur wahan panah le lo. ” Yeh sunte he Rashid Minhas samajh gaey ke unhe aur un ke tayyarey ko kidnap kiya jar aha hai. Unho ne forum Maripur ke control tower ko 11:29:29 par peygham diyake mujhe kidnap kiya ja raha hai. Nez ghadara instructor ke sathiyon ko Hindustani high Commision mein panah lene se roko. Rashid Minhas ki yeh harkat dekhte he Mutee-Ur-Rehman ne chloroform mein bheega hua romaal un ki naak par rakh kar unhe beyhosh karne ki koshish ki. Usi dauran 11:30:20 par control tower se peygham mila ke “ Tayyarey ko kidnap hone se bachaya jae. ” lekin us dauran Rashid Minhas beyhosh ho chuke the aur ghaddar Mutee-Ur-rehman 120 degree ke zawiye par tayyarey ko Bharat ki taraf urhae chala jar aha tha.

11:33:20 par Rashid Minhas ko zara sa hosh aya to unho ne control tower ko aik bar phir peygham diya ke “ Mujhe kidnap kiya jar aha hai aur Mutee-Ur-Rehman se kashmakash jari hai. ” Rashid Minhas ke tayyarey ka code no. “ T Bird ” tha. Thatta ke qarib unho ne hatmi faisla kiya aur Hindustani border se 32 meel door Shaheed Dero ke maqam par tayyarey ka rukh zameen ki taraf kar ke takra diya, lekin unho ne dushman ki hudood mein dakhil na hone diya. Ajeeb ittefaq hai ke Rashid Minhas ke Grandfather Abdullah Minhas bhi 20 August 1934 ko baroz Jumma-tul-Mubarak 11:45 par inteqal kar gaey tha. Bilkul isi tarha Rashid Minhas ne bhi 20 August 1971 baroz Jumma-tul-Mubarak 11:40 par wafat paai. Pakistan Air Force ki tareekh mein aap ka naam hamesha darakhsha rahega.

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Rashid Minhas Shaheed

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan Biography

Source link google.com
Dr. Abdul Qadeer Khan is a famous Pakistani nuclear scientist and a metallurgical engineer. He is widely regarded as the founder of gas-centrifuge enrichment technology for Pakistan’s nuclear deterrent program. Pakistan’s nuclear weapons program is a source of extreme national pride. As its “father”, A.Q. Khan, who headed Pakistan’s nuclear program for some 25 years, is considered a national hero.



Early life and Career:
Dr Abdul Qadeer Khan was born in 1936 in Bhopal, India. He immigrated with his family to Pakistan in 1947. After studying at St. Anthony’s High School, Khan joined the D. J. Science College of Karachi, where he took physics and mathematics. His teacher at the college was famous solar physicist Dr. Bashir Syed. Khan earned a B.Sc. degree in physical metallurgy at the University of Karachi in 1960.

Khan accepted a job as an inspector of weight and measures in Karachi after graduation. He later resigned and went to work in Netherlands in the 1970’s. Khan gained fame as a talented scientist at the nuclear plant he worked in. He had special access to the most restricted areas of the URENCO facility. He could also read the secret documentation on the gas centrifuge technology.

In December, 1974, he came back to Pakistan and tried to convince Bhutto to adopt his Uranium route rather than Plutonium route in building nuclear weapons. According to the media reports, A.Q. Khan had a close and cordial relationship with President General Mohammad Zia ul-Haq and the Military of Pakistan. He also maintained a close relationship with the Pakistan Air Force.

After his role in Pakistan’s nuclear program, Khan re-organized the Pakistani’s national space agency, SUPARCO. In the late of 1990s, Khan played an important role in Pakistan’s space program, patricularly the Pakistan’s first Polar Satellite Launch Vehicle (PSLV) project and the Satellite Launch Vehicle (SLV). Khan’s unrestricted publicity of Pakistan’s nuclear weapons and ballistic missile capabilities brought humiliation to the Pakistan’s government. The United States began to think that Pakistan was giving nuclear weapons technology to North Korea, to get ballistic missile technology in exchange. Khan also came under renewed scrutiny following the September 11, 2001 attacks in the U.S. He allegedly sold nuclear technology to Iran. However, he was pardoned in 2004, but placed under house arrest.

On the 22nd of August 2006, the Pakistani government declared that Khan had been diagnosed with prostate cancer and was undergoing treatment. He was released from house arrest in Februray 2009.

Other Contributions:
Khan was also a key figure in the establishment of several engineering universities in Pakistan. He set up a metallurgy and material science institute in Ghulam Ishaq Khan Institute of Engineering Sciences and Technology. The place, where Khan served as both executive member and director, has been named as Dr. A. Q. Khan Department of Metallurgical Engineering and Material Sciences. Another school, Dr. A. Q. Khan Institute of Biotechnology and Genetic Engineering at Karachi University, has also been named in his honor. Khan thus played a vital role in bringing metallurgical engineering courses in various universities of Pakistan.

Despite his international image, Khan remains widely popular among in Pakistanis and he is considered domestically to be one of the most-influential and respected scientists in Pakistan.

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan

Dr. Abdul Qadeer Khan